1. Without Mobile
Number whatsapp kaise chalaye ?
Dosto without mobile number matlab ki
bina mobile number verification ke whatsapp account banakar kaise chalaye
iske bare me aap jarur janna chahenge. to chaliye mai aapko batata hu ki bina
mobile number ke whatsapp kaise chalaye –
1. First, apne mobile me whatsapp apk
ko uninstall kare.
2. Ab play store se whatsapp download
kare.
3. mobile me Flight Mode On kare.
4. Google play store se spoof message
application download kare.
5. spoof message apk ko install kare.
6. Now, ye aapko internet se
verification ki suvidha nahi dega balki aapko verification ke liye alternate
method choose karne ko prompt karega.
7. aap ‘Check Through SMS’ choose kare
or email id enter kare.
8. Now instantly Cancel button par
click kare.
9. Ab spoof message app ko open kare
or ye details enter kare –
To: +447900347295
From: +(Country code)(mobile number)
Message: Your email address
2. Friend Ka whatsapp
spy Hack kaise kare ?
whatsapp hack kaise kare ? ye ek top question hai. iska directly answer to yahi hoga ki aap whatsapp ko without interface ke to hack kar nahi sakte lakin ha hamare es trick se aap apne friends ya relative ke whatsapp ko track jarur kar sakte hain –
1. apne friend ka mobile le jisko aap
spy karna chahte hain.
2. Go to settings —> About phone
—> Status—> Wi-Fi MAC address
3. mac address note karle.
4. ab apne mobile se whatsapp ko
uninstall karde.
5. ab apne mobile ko mac id apne
friends ko mac id se spoofing mac se badal de.
6. ab apne mobile me whatsapp download
kare. ab aapke friend ke mobile me whatsapp verification code send karega.
7. apna whatsapp verify kare.
8. ab jab aapka friend ya girlfriend
whatsapp par kuch bhi karega to aapko uski har activity ke bare me pata chal
jaega.
3. Kya aapke friend ne
aapka whatsapp message read kiya ?
kya aapke friend ne aapka whatsapp
message read kiya or agar kiya to fir kab kiya ? aapka message aapke friend
ko kab delivered hua or usne Usko kab read kiya ? iske bare me janna simple
whatsapp trick hai –
• apne message par long press kare.
• ab ek bar open hogi usme i icon par
click kare.
• aapko puri jankari mil jaegi ki
aapke friend ko kab aapka message mila or kab usne read kiya.
4. Whatsapp Me Blue Tick
Option Kaise Disable Kare ?
blue tick ka matlab hai ki hamne ho
message padha hai to agar hamara blue tick option enabled hai to samne wale
ko pata chal jaega ki hamne message kab padha. agar aap nahi chahte ki koi ye
jane ki aapne kab uska message padha to aap blue tick ko disabled kar sakte
hain. ye bahut simple hai aaeye jante hain es whatsapp trick ke bare me –
• apna whatsapp account open kare or
three vertical dots icon par click kare jo top right corner me hai.
• now Settings > Account >
Privacy me jaye.
• Read Receipts ko uncheck kare.
that’s it.
5. Whatsapp Quote
Feature Kya Hai ?
whatsapp ke es trick se aap kisi ke
message ka reply uske message ko quote karke de sakte hain. ye quote tip
group chating me bahut kam aati hai –
• apne kisi group me friends ke kisi
question ka answer dene ke liye us message par click kare.
• ab ek bar open hogi usme se first
wala icon choose kare jo screenshot me niche aapko dikhaya gaya hai.
• ab apna comment add kare or send
kare.
• that’s it. ab aapne special uske us
message ka reply kiya hai or wo usko aasani se samjh jaega ki aapne uske
konse message ke liye reply kiya hai.
6. Whatsapp Par Popular
Message Kaise Star kare ?
kai bar kisi group me kuch message
aise hote hain jo hame bahut pasand aajate hain jaise koi shayari ya koi
images or hum chahte hain ki hum usko apne friends ke sath share kare. lakin
us time sayad hum aisa nahi kar oaye lakh aap chahe to us message ko special
apne whatsapp me star karke rakh sakte hain or bad me kabhi bhi read kar
sakte hain or share bhi kar sakte hain. to aaeye jante hain –
• kisi message par long press kare.
• ab bar me se Star option par click
kare.
• that’s it. ab aap apne whatsapp ke
menu option me jakar stared message par click karke us message ko aasani se
dekh sakte hain.
7. Whatsapp Me Image,
Video Auto Download Kaise Band Kare ?
whatsapp me kai bar image, videos,
audios apne aap download hona suru ho jate hain. isse hamara data waste to
hota hi hai sath hi unnecessary files bhi download ho jati hain. aise me aap
–
• Whatsapp ke 3 Dots menu option me
jaye.
• Ab Settings > Data Usage >
Media Auto Download Par click kare.
• ab aap one by one sabhi ko disabled
karde.
8. Whatsapp Ko PIN Se
kaise Lock Kare :-
jahir si bat hai dosto aaj ke din
whatsapp ki security kon nahi chahta. hum sabhi cahte hain ko hamara whatsapp
fully protect rahe or hamar sivay koi dusra usko access na kar paye. to iske
liye aa0 whatsapp security tips jarur padhe –
• Aap iske liye Lock For Whatsapp
application download kare.
• look for whatsapp application ko
apne Android mobile me install or open kare.
• that’s it. ab aap ek specific code
dalkar apna whatsapp lock kar sakte hain.
9. Whatsapp par Deleted
Message Ko Recover kaise kare ?
whatsapp par delete ho chuke message
ko bhi recover kiya ja sakta hai. aap hamare es whatsapp hack trick se apne
deleted whatsapp message ko aasani se recover kar sakte hain –
• Apne Android mobile ko USB cable se
PC se connect kare.
• Go to Folder – whatsapp/Databases
• yaha 2 file msgstore-yyyy..dd..db.crypt
and msgstore.db.crypt name se milegi.
• msgstore-yyyy..dd..db.crypt file me
last 7 din me sent kiye or receive kiye gaye messages honge.
• es file ko Notepad ya Wordpad me
open karke aap message ko read kar sakte hain.
10. Ek mobile phone me
multiple whatsapp kaise use kare ?
waise to maine ek mobile me 2 whatsapp
chalane ki trick pahle bhi likh chuka hu lakin aaj yaha mai short and sweet
sabdo me fir se aapko iske bare me batana chahunga.
iseke liye aap simple sa step hai ki
aap Parellal Space apk download kare or aage ki puri jankari maine step by
step mere ek mobile me 2
whatsapp article me di hue
hai. aap isko padh sakte hain.
11. Apne Whatsapp Chat
Friends Ka Shortcut Kaise Banaye ?
aap apne jin friends se jyada pyar
karte hain jinko aap pasand karte hain or jinke sath chating me interest
rakhte hain unka aap shortcut bana sakte hain. ye shortcut aap apne whatsapp
home screen par add kar sakte hain. or jab aap us shortcut par click karenge
tab aap directly apne friend ke sath whatsapp chat par honge –
• apne whatsapp ko open kare.
• apne friend ki chat par ya contact
par long press kare.
• ab ek window popup hogi usme se
create shortcut par click kare.
• that’s it. aapke friend ka shortcut
ban chuka hai. Now enjoy.
12. Whatsapp Account Ka
Number Kaise Badle ?
jab aap koi new sim lete hain ya fir
kisi reason se apne account ka number badlna chahte hain to ye whatsapp trick
aapke liye bahut kam ki hai. isse aap aasani se apne whatsapp ka account
number change kar sakte hain.
• whatsapp ko open kare.
• 3 dots menu par click kare or
settings me jaye.
• ab account par click kare or change
Number par click kare.
13. Whatsapp Profile
Picture Prank Track :-
whatsapp ki es profile picture prank
trick se aap apne mobile sw apne friend ki profile pic badal sakte hain. ye
officially to aap nahi kar sakte lakin ye whatsapp trick aapke liye bahut kam
ki hai –
• apne mobile ko PC ke sath USB cable
se connect kare.
• Go to WhatsApp -> Profile
Pictures folder.
• Copy your friend’s profile pic name
and delete the profile pic.
• ab ek 561 x 561 Pixel dimension size
ki image banaye.
• isko thoda horrible or funny banaye
taki aapka friend shocked ho jaye.
• ab apne mobile me whatsapp open
karke apne friend ko usko id dikhaye wo definitely shocked ho jaega.
14. Whatsapp Ki Validity
Kaise Badhaye ?
agar apake whatsapp ki validity kam
hai to aap es trick se apne whatsapp ki validity ko increase kar sakte hain
matlab ki badha sakte hain. es trick me aapko jyada kuch nahi karna bas sirf
2 bar apne mobile number badlne hain –
• Go to settings>Account>Change
number.
• let aapka whatsapp number 7297******
hai or aapki whatsapp
expire date Fab 18, 2017 hai.
• now apne 7297******number ki jageh
apna old number like 8696****** add kare or same process bar bar kare.
• now fir se apna main number chamge
kare.
• that’s it. aapke whatsapp ki
validity increase ho chuki hai.
15. whatsapp chat
background kaise badle ?
agar aap Apne whatsapp ke background
ko change karna usko badlna chahte hain to aap apne koi bhi favorite picture
ko apna background bana sakte hain. ye whatsapp trick bahut simple hai –
• whatsapp ko mobile me open kare.
• kisi chat ko open kare.
• ab right corner me three dots
menuoption par click kare.
• yaha aap wallpaper par click kare or
apno pasandida picture ko select kare.
• that’s it. ab aapke whatsapp ka
background change ho chuka hai. enjoy it.
16. One Click Send
Message :-
es whatsapp trick me mai aapko ek bar
me apne sabhi friends ko message karne ke bare me bataunga. ise aap whatsapp
broadcasting bhi keh sakte hain –
• first aap apne whatsapp par koi
broadcast lost banaye.
• broadcast list me apne sabhi friends
add kare.
• now koi bhi message copy kare or
broadcast me jakar send kare.
• that’s it. ye message aapke sabhi
friends ke sath share ho jaega wo bhi personally.
17. Share Current
Location On Whatsapp :-
es whatsapp trick se aap jis location
par abhi present me hain us location ko apne friends ke sath share kar sakte
hain taki unko aapke sahi location ka pata chal sake. esse wo aapko track kar
sakte hain. ye whatsapp track parents ke liye bahut jaruri hai taki wo apne
children’s ke sath connect rahe or unse time time par location lete rahe –
• Jis friend ko location send karni
hai whatsapp me us par click kare.
• ab jaha se attachment send kiya jata
hai waha click kare.
• yaha aap location option par click
kare.
• aap isse pahle apna GPS On karle or
ab location send kare.
• that’s it. aapki proper location
aapke friend ke pas pahuch jaegi.
18. Whatsapp Par Large
File Kaise Send Kare ?
whatsapp par large big files ko send
karne me hame bahut problem hoti hai. kai bar koi file send hi nahi ho pati.
es whatsapp trick me mai aapko bataunga ki aakhir kaise aap whatsapp par badi
files jaise ZIP, RAR, APK , EXE , PDF, DOC , PPT , XLS format me send kar
sakte hain –
• apne Android mobile me Dropbox or
Cloudsend apk ko install kare.
• Cloudsend ko open kare ye aapko
Dropbox se link karne ko kahega yaha aap isko allow kare.
• file ko Cloudsend me send kare. file
aapke Dropbox account me automatically upload ho jaegi or aapko iska link bhi
mil jaega.
• Aap es link ko apne friends ke sath
share kar sakte hain.
• jab aapka friend es link par click
karega to wo us file ko download kar sakega.
19. Whatsapp Last Seen
Hide kaise Kare ?
dosto whatsapp ka last seen hide karne
ke bare me to aap jante hi honge. ye whatsapp ki ek popular whatsapp trick
hai. isse aap apna last seen hide kar sakte hain lakin agar aap apna last
seen hide karte hain to aap bhi kisi ke last seen ko nahi dekh payenge. ye
whatsapp ki ek policy hai –
• mobile me whatsapp ko open kare.
• top right corner se three vertical
dots option par click kare.
• now account > Privacy par click
kare.
• Yaha aapko Last seen ka option
milega uspar click kare or apne last seen ko hide tick kare.
• that’s it. ab aapne kab whatsapp
open kiya tha ye koi nahi jan paega but aap bhi kisi ki last activity ke bare
me nahi jan paenge.
20. Profile Pic Private
Kare :-
apni profile pic ko private karna ki
whatsapp trick bhi ek whatsapp Privacy hai. profile pic ko private karne ka
matlab hai ki apni profile pic ko aap kinke sath share karna chahte hain.
yaha aapko 3 options milenge. Everyone, My Contact or Nobody jinme se aapko
ek choose karna hai –
• Go to whatsapp settings.
• ab account me jaye.
• now Privacy par click kare or apni
profile photo ko private kare. that’s it.
21. Whatsapp Chat Ka
Backup Google Drive Me kaise Kare ?
whatsapp ki es trick me mai aapko
bataunga ki aap kaise apne sabhi whatsapp message chat , images, videos,
audios ka backup Google drive me le. Google drive me whatsapp chat ka backup
lene ka bahut fayda hota hai. agar kabhi aapke mobile me koi problem aajaye
ya kisi reason se aapka whatsapp band ho jaye ya uninstall ho jaye to aisi
condition me agar aapne apne whatsapp chat ka backup le rakha hai to aap new
whatsapp apk download karke apna whatsapp account banate samay apne backup se
sabhi message ko recover kar sakte hain –
• Sabse pahle apne whatsapp ko open
kare.
• uske bad three dots Menu par click
kare or Chats par click kare.
• Now Chat Backup par click kare.
• ab backup to Google Drive par click
kare or yaha se aap daily backup select kar sakte hain.
• That’s it. ab aapke whatsapp
messages ka backup daily aapke Google drive me automatically ho jaega. enjoy
this whatsapp trick.
22. Different Group
Notification Tone :-
aap whatsapp istemal karte hain to
jahir si bat hai ki aap bhi kuch group me add jarur honge. inme aapke kuch
group personal hote hain or kuch time pas. lakin agar aap chahe to apne
special group ke liye apni special notification tone set kar sakte hain taki jab
aapke special group me koi bhi message aaega tab aapko aapki special group
notification tone se aapko pata chal jaega ki ye message aapke special group
me receive hua hai –
• Mobile me whatsapp apk ko open kare.
• apne special personal group par long
press kare.
• ab three vertical dots par click
kare.
• Now Group info par click kare.
• Ab aap Custom Notification par click
karke group ke liye custom notification set kare.
23. Message Kare Bold
& Italic :-
whatsapp me apne message ko bold karna matlab ki apne whatsapp message ko
highlight karne ko kahte hain. whatsapp message ko italic matlab ki unko
thoda sa angle chage karna. aap apne whatsapp message ko bold or italic kar
sakte hain –
• Kisi whatsapp message ko Bold karne
ke liye *Your Message* or send kare.
• Message ko italic karne ke liye
_Your Message_ that’s it.
• aisa karne par aapke message bold or
italic ho jaenge. enjoy this whatsapp trick.
24. Use kare Whatsapp
New Font Feature :-
whatsapp ke new update me ek naya
feature add hus hai or wo hai new font whatsapp new feature. es whatsapp new
font feature trick se aap apne whatsapp message ko ek new look de sakte hain
–
• Whatsapp me jisko aap message bhejna
chahte hain uski chat ko open kare.
• ab aap apne message se pahle ( “` )
lagaye or message ke end me bhi aap ( “` ) lagaye.
• now message send kare.
• that’s it. aapka new font style me
message send ho chuka hai. enjoy this whatsapp cool new trick.
25. Fake Photo
Thumbnail Kaise Banaye ?
fake photo thumbnail banakar aap
whatsapp par fun kar sakte hain. fake thumbnail se matlab hai ki aapki photo
koi or hai or uska thumbnail koi or. kai bar hame whatsapp par kuch aise
photo bheje jate hain jo hame download karne se pahle kuch or dikhaye dete
hain lakin download hone ke bad kuch or.
matlab ki download hone se pahle hame
uski thumbnail dikhaye deti hai joki blur hoti hai. hum bhi aise hi fake
photo thumbnail bana sakte hain. aaeye jante hain kaise –
• Apne Android mobile me Z Photo Fake
App download kare.
• z photo fake app se image create
kare yaha par aapko kai thumbnail mil jaenge.
• enjoy this fake photo thumbnail
whatsapp trick.
26. Whatsapp Se GIFs
Send Kare :-
ye whatsapp me ek or whatsapp new
feature add hua hai. pahle hu. whatsapp par GIFs send nahi kar sakte the
lakin abhi kar sakte hain. iss whatsapp users ko bahut fayda ho raha hai
kyonki ab wo apni animated GIFs apne friends ke sath share kar sakte hain –
• apne mobile me whatsapp ko launch
kare.
• ab apne kisi friend ki chat ko open
kare jisko aap GIFs file send karna chahte hain.
• jaha se attachment send kiya jata
hai waha click kare.
• now aap Gallery par click kare ,yaha
aapko top right corner me GIFs ka option melega uspar click kare.
• that’s it. yaha se aap apni GIFs
file ko select karke apne friends ke sath share kar sakte hain.
27. Email Par Apne
Sabhi Conservation Send Kaise Kare ?
apne email id par apne whatsapp ke
sabhiconservation ko send karna bahut aasan hai. aap es whatsapp trick ya whatsapp
ki short trick se apne sabhi whatsapp conservation ko apni personal email id
par send kar sakte hain –
• whatsapp ko open kare.
• apne kisi bhi whatsapp contact par
long press kare.
• abek popup window open hogi yaha aap
Email Conservation par click kare.
• that’s it. aapke sabhi conservation
aapki mail id par pahuch jayenge.
28. Group Link Se
Invitation Send Karna :-
ye feature whatsapp me abhi abhi add
hua hai. pahle whatsapp group link OG whatsapp se banti thi lakin ab official
whatsapp ne iska option dediya hai.bahut se log whatsapp link kaise banaye ?
whatsapp group link kaise banaye ? whatsapp group invitation link kaise
banaye iske bare mw puchte rahte the unke liye ye whatsapp trick bahut kam ki
hai –
• first apne mobile me whatsapp ko
launch kare.
• apne kisi group ko open kare.
• ab group information me jaye.
• Now ‘Add Participants” par click
kare.
• yaha aapko “Invite Via Group link”
ka option milega us par click kare.
• That’s it. yaha se apni group link
copy kare or apne friends ke sath share kare.
29. Whatsapp Selfie Me
Flash Effect Add Kare :-
most of Android mobile phones me front
camera ke sath flash ki suvidha aane lagi hai. lakin jab hum apne whatsapp
camera ka use karke koi selfie capture karte hain to usme Flash effect
disabled hota hai. apni whatsapp selfie ko or aadhik impressive banane ks
liye apne whatsapp camera ko on kare or usme bottom screen ke left me ek
Flash ka nishan hai us par click kare. aisa karne par aapke whatsapp camera
me selfie effect on hojaega or aapki selfie bahut impressive lagegi.
30. Whatsapp
Conservation Ka Google Drive Me Backup :-
samay samay par apne whatsapp
conservation ka Google drive me backup lena bahut jaruri hota hai. kyonki
agar hamare pas Google drive me hamare whatsapp conservation ka backup hai to
hum kabhi bhi usko restore kar sakte hain –
• Sabse pahle aap whatsapp app ko open
kare.
• ab top right corner se 3 dots menu
option me jaye or settings par click kare.
• Now, chat me jaye or Chat backup par
click kare.
• Ab aapko sirf backup button par
click karna hai uske bad aapke whatsapp message ka backup Google drive me ho
jaega.
31. Group Me Friends
Kaise Tag Kare ?
whatsapp ne October 2016 me ek naya
feature add kiya hai jisme aap apne whatsapp ke group me kisi message ya koi
attachment me apne whatsapp friends ko tag kar sakte hain jaisa ki Facebook
par karte hain. aaeye jante hain whatsapp group me friends ko tag kaise kare
–
• group chat ko open kare.
• ab @ type kare.
• @ type karte hi aapke whatsapp group
me add sabhi members ki list aapke samne hogi.
• aap jis whatsapp friend ko tag karna
chahte hain us par click kare.
• that’s it. kaisi lagi aapko whatsapp
ki ye new whatsapp trick.
32. Whatsapp Par
Facebook Data Share Kaise Band Kare ?
whatsapp apne users ka data Facebook
ke sath share kar raha tha lakin HC ne es par ban laga diya hai. ab aapka
data whatsapp par properly secure hai. ab whatsapp ne aapke data ko Facebook
ke sath share karne ka feature band kar diya hai. so be happy and enjoy all
latest new whatsapp trick in hindi language only on HinditrickBlog.com
33. Whatsapp Fake Chat
Banana :-
whatsapp ki hack trick me ye ek most
popular or internet par search ki jane wali sabse badi or famous whatsapp
hack trick me se ek hai. akshar log apne friends ke sath masti karne ke liye
fake whatsapp chat banana chahte hain taki wo apne friends ke sath masti kar
sake. iska sabse simple sa ek hi tip hai ki aap apne Android Mobile me
WhatSaid Apk download karo. WhatSaid apk download karne ke bad aap apne
mobile me aasani se whatsapp ke fake conservation bana sakte hain.
Thank you..!!!
No comments:
Post a Comment